Saare Nabiyon Ke Ohde Bade Hai
Saare Nabiyon Ke Ohde Bade Hai
Saray Nabiyon Kay Ohday Baray Hain,
Laken Aqaa ka mansib judaa hai.
Wo Imam-E-Saf-E-Anbiyaa hain,
un ka rutbah baron se bara hai.
Koi lafzoon main kaise bata de,
un ke rutbahay ki had hai tu kiya hai.
Hum ne apne baron se suna hai,
serf Allah he un se bara hai.
Nam jannat ka tum ne suna hai,
main ne us ka nizara kiya hai.
Main yahan se tumhen kiya bata doon,
un ki nagri ki galyioon main kiya hai.
Mustakil un ki chookhat atta ho,
Mere mahbood ye iltijah hai.
Koi poochay tu ye keh sakun,
main Bab E Jibrail mera pata hai.
Wo jo ek Shehr Noor ul huda hain
jalwaghaon ka ek silsila hai.
Jis ki her subah shams-o-duhah hai
jis ki her sham badr-o-dujah hai.
No comments